Monday, December 10, 2007

Kya sochtaa hogaa sooraj

Subah ki kirane
Khidki se aati huyeee
Mere aankhon girti huyee
Mere savere ki shurvaath kartee hai

Khidki se jhaaktaa hoon
To suraj muskuraataa hua
hello kehtaa hai

Kehtaa hai
Dost tum bhi jaag gaye
Chalo tumhe
Apni kiranon se
jhappi de detaa hoon

Dheere dheere jaise din badegaa
suraj ki aankhon mein mayoosi dikhti hai
woh gusse se garam dikhtaa hai

Woh sochtaa hogaa
kambakht kyun itna shor hai
din ki shuruvaat mein jo mehek thi
woh is dhuen mein kyun kho gayee
savere savere jo shaant maahol thaa
is shor mein kyun kho gayaa

sooraj ke man mein jo khayaal hai
woh mere bhi man mein hain
hum sab ke man mein hai
magar hum baithe hain
bas sochte huye

No comments: