Thursday, February 14, 2008

Marasim

Out off the blues, I suddenly remembered Marasim today. This was an album by Gulzar and Jagjit Singh and I think it came out long time back in 1999. What an awesome album it was. Beautiful lyrics by gulzar rendered craftily by Jagjit Singh. In the middle of ghazals, there are short thoughts by Gulzar. I cannot forget those ever . Here are a couple :

Subah Subah ek khwaab ki dastak par
Darwaazaa kholaa dekhaa
Sarhad ke us paar se
Kuchh mehmaan aaye huye hain
Aakhon se maanoos the saare
Chehre saare soone sunaaye
Haath dhoye paanv dhulwaaye
Aangan mein aasan lagwaaye
Aur tandoor pe mote mote rot pakaaye
Aaankh khuli to dekhaa ghar mein koyi nahi tha
Haath lagaa kar dekha to tandoor abhi tak bujhaa nahin thaa
Aur hothon pe meethe gud kaa zehtaa ab tak chipak rahaa thaa
Khwaab thaa shaayad Khwaab hi hogaa
Sarhad par kal raat sunaa hai chalee thi golee
Sarhad par kal raat sunaa hai kuchh khwaabon kaa khoon hua hai

************************************

Mujhko bhi tarqeeb sikhaa koi yaar zulaahe
Aksar tujhko dekhaa hai taanaa bunte
Jab koi taagaa toot gayaa ya khatam hua
Phir se baandh ke aur sira koi jod ke usme
Aage bunne lagte ho
Tere is taane mein lekin
Ek bhi gaanth giraah buntar ki dekh nahin saktaa hai koi
Maine bhi ek baar bunaa thaa ek hi rishta
Lekin uski saari girahein saaf nazar aati hai mere yaar zulaahe
Mujhko bhi tarqeeb sikhaa koi yaar zulaahe

No comments: