Wednesday, October 10, 2007

अगर

agar kal aakhrii din hotaa
to main aaj kyaa kartaa
jo vakt main aise bitaataa hoon
kyaa vaise main bitaataa ?
shaayad nahiin !!
kyoonki jitane khvaab
dil men samaaye huye hain
soye huye hain
shaayad aaj jaag uthate
aur mujhme
bechainii sii samaa jaatii
jo mujhe majaboor kar detii
sochne par
ki kitne khwaab poore huye
aur kitne adhoore rah gaye
dil se chhotii sii aawaaz
mujhse poochhtii
kaisaa rahaa safar
tay kaise huaa
jude huye khwaab
chehre pe roshnii laa dete zaroor
adhoore se khwaab maayoosii
lekin ek adhooraa khvaab
zaroor poorii kartaa
taaki ek to kam ho jaaye
khwaab kuchh adhoore
kuchh poore
hameshaa rah jaate hain
magar is safar ki
yaadon se paribhaashaa hotii
jitanaa pyaar is safar men milaa
us pyaar se paribhaashaa hotii
khushii se main is kitaab ko
bandh kartaa kyoonki
kvaabon ki koee parisiimaa nahiin hotii

Note : Hindi transliteration was becoming illegible. So keeping it in English. But read them as hindi

No comments: